top of page
Search

Tehrav...

  • Writer: HRUSHIKESH
    HRUSHIKESH
  • Sep 21, 2019
  • 2 min read

Zindagi kamyabi aur nakamyabiyon se bhari hui hoti Hain.Jaha khushiyan Hain vahan dukh bhi ayenge hi,aur jaha hasna Hain vaha Rona sehen karna hoga hi.Ek insan isi Zindagi ke roller-coaster par apne aap ko sambhalte hue aksar nazar ata Hain.Dagmagana ya fir achanak raftar badalna ye Mano iss roller-coaster ki khasiyat Hain.Is raftarbhari Zindagi main rukna ya fir teherna Mano ek gunah ban chuka hain.Zindagi main jitni raftar jaruri Hain,utna zaruri Hain Tehrav....

"Main udna chahta Hun , daudna chahahta Hun,girna hi bhi chahta Hun..bas rukna nahi chahta..."Ye bunny bade tav se naina ko kehta hain.Lekin Jitna udna,daudna aur girna jaruri hain usse bahut jaruri Hain 'Tehrna'.Tehrna ya tehrav ka Matlab hota Hain apne Dimag ko shant karna aur bas apni chal rahi Zindagi ko ek baar samajhna.Hum Kahan Hain?kin logon ke saath Hain?Vo log humari Zindagi par acha ya bura prabhav dal rahe Hain?Kya Zindagi ke iss mod se hum khush Hain? Aur kaafi aise sawal jisse aap therkar apne aap ko pehchane.Humari Zindagi main aise bahut lamhein ata Hain jahan humein rukhkar sochne ki jarurat hoti Hain.Yahan 'tehrav' ki jarurat hoti Hain.Jab aap, khudko samay dete hon toh situations kaafi aasan lagne lagti hain.Kyunki aap use alag Nazariye se dekhkar suljhane ki koshish karte Hain.

'Tehrav' koi aise baat Hain nahi ki Jo ek din main aap Sikh jaoge ya fir vo aapki Zindagi main aa jayega.Tehrna koi galat baat nahi hoti.Sher do piche kadam leta Hain,unchi Chalang Marne ke liye.Lekin ek maryada main tehrkar vapas usi raftarbhari Zindagi ka haath pakadna,yahi sikhna hain.

Agar aap Roz 10 ghante sone ko rukhar sochna kehte hain,toh mere dost shayad vo tehrav nahi.Usse alas kehte Hain!Raftaar se chalna Hain,toh rukhna jaruri Hain...

'Tehrav' ek aisi chiz Hain Jo padhkar ya samajhkar Zindagi main nahi aati.Apne aap ko ache se samjhna aur pehchana ka ek Rasta Hain tehrav."When life gives you lemons,take that lemons and think about how can you make a lemonade out of it"Aur ye lemonade banane ki takat deta Hain tehrav.Ye article aapko shayad tehrav ka asli Matlab samjha na paye,kyunki vo har ek insan ke liye alag Hain.Lekin Bas itna kehta Hun

Tehrav Zindagi ka ek aisa hissa Hain,Jo tumhe apne aap se Jude hue rakhega.Hamesha.....


 
 
 

6 Comments


HRUSHIKESH
HRUSHIKESH
Sep 22, 2019

Thank you @snmahendrakar

Like

snmahendrakar
Sep 22, 2019

Great🔥

Like

HRUSHIKESH
HRUSHIKESH
Sep 21, 2019

Yeah absolutely @pratikshabangar2002

Like

HRUSHIKESH
HRUSHIKESH
Sep 21, 2019

Thanks @subhasasmal47!

Like

pratikshabangar2002
Sep 21, 2019

Some time with yourself is all you need to figure things out 😄😄👌👌👌

Like

Subscribe Form

8652827907

©2019 by Anything and everything.. Proudly created with Wix.com

bottom of page